3 Best Blogger Templates| Adsense Approval ke liye Template kaise edit kare

Beginners ko bata du ki adsense ke liye sahi template ka chunaw karna ek important kaam he. Adsense team hamesha aapke blog ya website template/theme ko dekhta hai. To me aaj is article me bataunga ki kaise aap Adsense Approval pane ke liye sahi Blogger Template chun sakte ho.
      Humme se har ek apne website par Adsense approval lana chahta hai kyu ki Adsense ek sabse bara advertising platform hai. Par Adsense se apporval pana utna bhi asaan nahi. Log 2-3 saal tak kaam karte hai aur fir kuch galati ke liye haar maan jaate hai aur kuch log koshish karte rehte hai. Fir bhi, Adsense par approval pana utna bhi kathin kaam nahi hai. Aap agar sab kuch sahi se kare to apko adsense par 1 mahine ke andar approval mil jayega. Par apko sabkuch pehle sikhna paregaa. Jese ki mai, mere dusre article me batya ki Adsense pr Approval pane ke liye kya kya important chijo ka dhyan rakhna Jaruri hai aur unme se ek sahi template chunna bhi ek jaruri kam hai.

3 Best Blogger Templates| Adsense Approval ke liye Template kaise edit kare
Adsense Approval ke liye sahi Template chune-Actually, Adsense ke liye sahi template ek myth hai. Internet par aapko bohot sare eise content milenge jinme Adsense Ready Blogger template likha hua hoga. Par me aapko mere 2 saal ke experience se bata raha hu ki haar ek template blogger responsive aur adsense ke liye sahi he. Ye apke upar depend karta hai ki aap apne template/theme ko kaise edit karte hai. Aap sochte honge ki Adsense par approval pane ke liye apne webiste ko acche se sajana jaruri hai par eisa kuch nahi. Agar ap apne website ko sajaane ke liye bohot saare widgets create karte hai to apke website heavy ho jata hai. Adsense par approval pane ke liye hmesha apna website light aur fast loading rakhe aur uske liye apne website par kam se kam widgets ka use kare. Sirf 3-5 important widgets hi lagaye. Adsense par approval pana hmesha apke content par 80%depend karta hai aur 20% apke template par.

3 Best Blogger Templates for Adsense-

Me apko abhi eise 3 Blogger template ke bare me batunga, jo Adsense par apply karne ke liye sahi he aur blogger responsive bhi. Ye sare templates free aur paid hai. In templates/theme ke bare me batane ke baad me last me explain karunga ki kaise aap koi bhi accha Blogger template/theme apne Adsense ke liye sahi se edit kare aur kin chijo ka dhyan rakhe.

Sora One Blogger Template/Theme

Baise to Internet par bohot sare template hai par ye template bohot hi unique aur sahi dikhne bala template hai. Isme jyada heavy widgets bhi nahi hai aur isko aap asaani se customize bhi kar sakte hai. Sora One template bohot log use karte hai. agar aap ye template free me use karte hai to apko sab features nahi milega. Bata de ki, begginers ke liye sab features chahiye bhi nahi. Apko sirf widgets hatake acche se template ko apne website ke liye edit karna hota hai. Sora ke aur bhi kafi sare templates hai aur sare ke sare kaafi ache hai. Agar aap ek beginner hai aur free ka template use karna chahte he to Sora One template ka istemal jarur kare.

Sanai Blogger Template/Theme

Ye Template bhi ek bohot sahi, responsive, aur fast-loading template he. Sanai template India me news articles ya tech tips website par bohot jyada use kiya jata hai. Aap asaani iske free version ko download aur use kar sakte. Sanai Template ko edit karna bhi bohot hi asaan hai. Iske ads ready wdigets adsense ke liye aur bhi accha hai. Adsense par jaldi approval pane ke liye Sanai Template ko jarur chune aur apne webiste ke liye sahi se edit kare.

SEO Boost Blogger Template

Agar apka koi simple sa blog he jisme ap apna knowledge share karte hai, to SEO Boost apke liye ek sahi template hai. Ye template baki templates ke jaisa mobile-friendly bhi he aur responsive bhi. Upar se isme social media connect karne ka asaan tarika bhi hai.

Adsense Approval ke liye Template kaise edit kare-

Dosto, jese ki maine bataya ki aap koi bhi free Blogger Template thora sa edit karke Adsense approval ke liye ready kar sakte hai. Adsense ke liye koi special template nahi chahiye. Koi bhi template le lo jo ki apke website catagory ke liye relevent ho aur dikhne me accha ho. 
Apne Blogger Template ko Adsense ke liye ready karne ke liye pehle layout par jai aur sare side widgets hata de. Fir 3-5 naya widgets lagaye jese ki, Social media connect, Email Subscription, Report Abuse, Featured Post, etc. 
Uske baad upar menu par kuch important pages create kare aur sath sath privacy policy, contact, about us pages bhi create kare.
Jaha bhi social media icon dikhta he ume link hona jaruri hai. To aap kamse kam apne Website ke liye Faceook page aur Twitter page banale aur usko apne website widget par connect karde. Bas itna hi karne se aapke template Adsense approval ke liye puri tarah se ready ho jayega.
Agar apke man me koi Sawal hai ya fir aapko koi baat samajh anhi aya to comment karke jarur puche.


3 Best Blogger Templates| Adsense Approval ke liye Template kaise edit kare 3 Best Blogger Templates| Adsense Approval ke liye Template kaise edit kare Reviewed by CaptainJOJO on अक्तूबर 31, 2019 Rating: 5
Blogger द्वारा संचालित.