Blogger par Sitemap kaise Dale? Where to place Robot.txt in Blogger(Hindi)

Sitemap ek code hai jo apke blogger blog ya Website par dalna hota hai. Blogger setting par Custom Robot.txt ko enable karke usme sitemap dale.

Blogger par Sitemap kaise Dale? Where to place Robot.txt in Blogger(Hindi)

Blog ya Website par Sitemap hone se, google aapke blog ko achche se read or Index kar pate hai. Agar aap apne blogger website par sitemap enable nahi karte hai to aapke liye ye kaafi dikkate laa sakti hai. Kaafi sare log achche article to likhte hai par unko sitemap ke bare me pata nahi hota, jiske bajah se unke articles thik se google search result par nahi aate aur unko adsense par approval bhi nahi milta. To aaj humlog is article me is Sitemap se jure haar important chij ko janenge.

sitemap kaisa dikhta hai
Sitemap- Sitemap ko humlog normally Robot.txt ke name se bhi jante hai. Sitemap ke madat se google ke crawlers aapke website ko crawl kar sakte hai. Sitemap ke bohot sare formates hote hai, aap apne blogger ke liye photo me die geye formate ko use kare. Aap agar blogger setting pe jaye to Search and Preferences tab par apko 'Crawlers and Indexing' dikhega. Usme agar aap Custom Robot.txt ko enable kare to aapko usme sitemap dalna hoga. Sitemap pane ke liye, apne search box par

'https://yourblog.blogspot.com/robots.txt' likhe aur search kare. search karne ke baad jo bhi ayega usko hi Sitemap bolte hai.
Yaad rakkhe ki sitemap ke last me kabhi kabhi Sitemap.xml ya fir kabhi atom.xml rehta hai. To alag alag dikhne par confuse mat ho kyu ki dono same hai.

Blogger par Sitemap(Robots.txt) kese dale-

Jaise ki maine abhi bataya ki aapko baas search bar pe jaye aur niche diye geye adress likhe search kare (jisme yourblog matlam apka blog) https://yourblog.blogspot.com/robots.txt search kare. Search karne ke baad jo bhi code nikal ke ayega usko pura copy kare aur apne blooger par jaye.

Blogger par jake setting par Search Preferences par jaye aur usme Crawlers and Indexing ke niche Custome robot.txt ko enable kare. 

Enable karne ke baad apna sitemap khali box me paste kare aur save kare. Aur iske baad aapka blogger par sitemap dalne ka kaam pura hua.

Usike saat aap niche bale custom robot header tags ko bhi enable kare. Custom robot header tags par koi change karna jaruri nahi hai.
Asha Karte hai ki aapko sitemap ke bare me ache se samajh aa geyi. Agar apke pas koi question hai to niche comment karke bataye. Hum solve karne ke liye puri koshis karenge.

Blogger par Sitemap kaise Dale? Where to place Robot.txt in Blogger(Hindi) Blogger par Sitemap kaise Dale? Where to place Robot.txt in Blogger(Hindi) Reviewed by CaptainJOJO on अक्तूबर 24, 2019 Rating: 5
Blogger द्वारा संचालित.